Friday 18 October 2013

ख़ामोशीया कभी ख़ामोश नहीं रहती ...!!!..

Kaun Kehta Hai Khamoshiya Kamosh Hoti Hai.....
kabhi Khamoshiyo Ko Khamoshi Se Suno to zara.... 
Kabhi-Kabhi Khamoshiya Vo Keh Deti Hai....
Jinki Aapko Lafzo Mein Talash Hoti Hai…..
                       

kai bar Kehna To Bahut Kuchh Chahte hai....

Magar har bar Labs  Saath Nahi dete.....

Kabhi Waqt Ki Khamoshi Mein hum Khamosh Rahe jate hai.......

To Kabhi samne vale insan ki  Khamoshi Ne  hame Kuchh Kehne Na Diya... 

                  
Man ke samandar mai uthte hai kai tufan....or umadti hai anginat lehre kinare ki talash mai......par har laher ko kinara ka sahara nasib nahi hota....... 

Khayalo ke Ganit mai har roz uthte  hazaro ulje hua saval.....par har saval ke nasib mai sulja hua javab nahi hota.....

Isi uljano mai ulja hua man sulajne ki chahat mai or ulaj jata hai or man ki lehro ka tufan thamne ki bajay or umad jata hai....or aankhe hamari khamosi ka aaina ban kar hal a dil bayan kar hi jati hai....

"Sikayat ye nahi hoti ki samne vala insan  Naraz hai.....gum us bat ka hota hai ki usne hume  kuchh bolene  ka moka dena bhi zaruri nahi samja....
Sikayat ye nahi hoti ki  samne vale insan ne hamari galti bhi nai batai......gum is bat ka hota hai ki usne hume mafi ke do labs bolne dena zaruri nahi samja....
                     
Tabhi to jab jab hamare bich ki khamosiya had se zyada badha gai tab Khamosiya khud hi shor machane lagi ...unke shor me bina labzo ke Nazre hi dia ka paigam ban gai.....Bina kuchh kehe nazro se hi var kiya maine tumne....kuch na keh kar bhi bahot khchh keh diya teri meri in chand lamho ki khamosiyo ne ........

                       


No comments:

Post a Comment